V-1... O Prophet, Fear Allah And Do Not Obey The Disbelievers And The Hypocrites. Indeed, Allah is Ever Knowing And Wise.
V-1..Aaye Nabi ! Allah Talah Se Darte Rehna Aur
Kafiroun Aur Munafiqoun Ki Baatoun Me Naa Aajana,
Allah Talah Bade Ilm Wala Aur Badi Hikmat Wala Hai
V-2...And Follow That Which is Revealed To You From Your Lord. Indeed Allah is Ever, With What You Do, Acquainted.
V-2... Jo Kuch Aap Ki Janib Aapke Rabb Ki Taraf Se Wahi
Ki Jati Hai, Usski Tabdari Karein(Yaqeen Mano) Ke
Allah Tumhare Har Amal Se Baqabar Hai.
V-3 ... And Rely Upon Allah ; And Sufficient is Allah As Disposer Of Affairs.
V-3 ... Aap Allah Hi par Tawakkal Rakhein
Woh Kaarsazi Keliye Kafi Hai
V- 21 ...There Has Certainly Been For You in The Messenger Of Allah An Excellent Pattern For Anyone Whose Hope is in Allah And The Last Day And [who] Remembers Allah Often.
V - 21 ... Yaqeenana Tumhare Liye Rasool Allah ME
Umdah Namoona(Moujood) Hai, Har Uss Shaqs Keliye
Jo Allah Talah Ki Aur Qiyamat Ke Din Ki Tawaqo Rakhta
Hai Aur Bakasrat Allah Talah Ko Yaad Karta Hai.
" Tafseer "
Aayat Me Taqwah Par Tableegh Wo Dawat Me Isteqamat
Ka Hukum Hai,Talq Bin Habeeb Kehte Hain Taqwa Ka Matlab
Hai Ke Tu Allah Ki Ita'at Allah Ki Di Hui Roshni Ke Mutabiq Kare
Allah Se Sawab Ki Umeed Rakhe Aur Allah Ki Masiyat Allah
Ki Di Hui Roshni Ke Mutabiq Tark Karde,
Allah Ke Azaab Se Darte Hue (ibn-e-kaseer)
Quran Ki Aur Ahadees Ki Bhi Isliye Ke Ahadees Ke Alfaaz
Ahadees Ke Alfaaz Nabi Kareem Sallalahu Alaihe Wassalam
Ki Zuban Mubarak Se Nikle Hue Hain Laikin Inki Maafi Wo Mafhim Minjanib Allah Hi Hai
Pass Inse Tumhari Koi Baat Maqfi Nahi Reh Sakti
Aaye Musalmanoo !!!!!Aur Munafiqo !!
Tum Sab Keliye Rasool Allah Sallahau Alaihe Wassalam
Ki Zaat Ke Ander Behtareen Namoona Hai,
Ye Hukm Aam Hai Yani Aap
Rasool Allah Sallalahu Alaihe Wassalam
Ke Tamaam Aqwal, Ifwal, Aur Ahwal,
me Musalmanoun Keliye Aap
Sallalahu Alaihe Wassalam Ki Iqtedah Zaroori Hai
Chahe Unka Talouq Ibadaat Se Ho Ya Mashiraat Se,
Ya Siasat Se, Zindagi Ke Har Shobe me Aapki Hidayat
Wajib Hai
Rasool Allah Sallahau Alaihe Wassalam Ko Wahi
Apnayega Jo Aaqirat Me Allah Ki Mulaqaat Par Yaqeen Rakhta
Aur Kasrat Se Allah Ka Zikr Karta Hai
0 comments:
Post a Comment